Faiz Ahmed Faiz Ki Shayari




Writer Rizwan Ahmed 03-Oct-2020


और भी दुख हैं ,ज़माने में मोहब्बत के सिवा 

राहतें और भी हैं वस्ल की राहत के सिवा, 

 Aur bhī dukh haiñ zamāne meñ mohabbat ke sivā

rāhateñ aur bhī haiñ vasl rāhat ke sivā,

कर रहा था ग़म-ए-जहां का हिसाब

आज तुम याद बे-हिसाब आये,

kar rahā thā ġham-e-jahāñ hisāb

aaj tum yaad be-hisāb aaye,

दिल ना-उम्मीद नहीं नाकाम ही तो है

लम्बी है ग़म की शाम मगर शाम ही तो है

Dil nā-umīd to nahīñ nākām to hai

lambī hai ġham shaam magar shaam to hai,

और किया देखने को बाक़ी है

आपसे दिल लगा के देख लिया,

Aur kyā dekhne ko baaqī hai

aap se dil lagā ke dekh liyā,

दोनों जहाँ तेरी मोहब्बत में हार के

वो जा रहा है कोई शब्-ए-ग़म गुज़ार के,

Donoñ jahān terī mohabbat meñ haar ke

Wo rahā hai koī shab-e-ġham guzār ke,

तुम्हारी याद के जब जख्म भरने लगते हैं

किसी बहाने तुम्हे याद करने लगते हैं,

Tumhārī yaad ke jab zaḳhm bharne lagte haiñ

kisī bahāne tumheñ yaad karne lagte haiñ

वो बात सारे फ़साने में जिसका ज़िक्र ना था

वो बात उनको बहुत ना-गंवार गुज़री है,,

Wo baat saare fasāne meñ jis zikr na thā

wo baat un ko bahut nā-gavār guzrī hai

नहीं निगाह में मंज़िल तो जुस्तुजू ही सही

नहीं विसाल मयस्सर तो आरज़ू ही सही,

Nahīñ nigāh meñ manzil to justujū sahī

nahīñ visāl mayassar to aarzū sahī

गुलों में रंग भरे बाद-ए नौ-बहार चले

चले भी आओ के गुलशन का कारोबार चले

    Guloñ meñ rañg bhare bād-e-nau-bahār chale

chale bhī aao ki gulshan kārobār chale,

आये तो यूं के जैसे हमेशा थे मेहरबान

भूले तो यूं की गोया कभी आशना ना थे,

Aaye to yuuñ ki jaise hamesha the mehrbān

bhūle to yuuñ ki goyā kabhī āshnā na the,

No comments

Powered by Blogger.